Categories: HindiPoetrySocial

Irrfan Khan

Tumhaari aawaaz ki woh gehraai,
Aankhon mein woh beintehaan sachhai..
Tum hi ek the Irrfan bhai..

Tumhaari adaaon ki woh maasoomiyat,
Tumhaare harr kirdaar ki woh bepaak neeyat..
Woh tumhaara seedhe mudde parr aana,
Woh gusse mein bhi yu muskaana..
Saala muh pe bol dena mann ki baat,
Karna shiddat se mehnat din aur raat..
Dil ko chhoone waale tumhaare kirdaar,
Kam dekhein hai humne aise dildaar..

Pehchaan nahi thi humaari, bass dekha tha parde parr chehra,
Pata hi nahi chala, kab bann gaya rishta tumse yeh gehra..
Yun toh duniya apni mauj mein chalti rahegi,
Parr teri kami iss nacheez ko hamesha khalti rahegi..

Bass ek hi shikwaa hai tumse,
Thodi der aur theher jaate, ek aur kahaani keh dete humse..
Iss shor sharaabay mein, tumhaari saadgi yaad aigi,
Tum hi ek the yaar, tumsa koi aur na hoga Irrfan bhai.

Nukul Jain

Share
Published by
Nukul Jain

Recent Posts

Why everyone needs an Iyer!

Iyer is not just my best friend, he is my reciprocal. When we combine forces,…

3 years ago

Reyt

Din raat kaam karta hu, Kabhi khush hota hu paise dekh kar, Kabhi ek gulaam…

4 years ago

Racism.

Back in India, I never understood the concept of looking at people as native or…

4 years ago

Broken

The food is a little bland, The clock is a little slow.. It's like I've…

4 years ago

First 90 days at Amazon.

Recently, I completed 3 months at Amazon. It is a small landmark, but here are…

4 years ago

Sachha saathi

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai.. Ki kahi yeh gam hi sachha saathi…

4 years ago

This website uses cookies.