Irrfan Khan
Tumhaari aawaaz ki woh gehraai,
Aankhon mein woh beintehaan sachhai..
Tum hi ek the Irrfan bhai..
Tumhaari adaaon ki woh maasoomiyat,
Tumhaare harr kirdaar ki woh bepaak neeyat..
Woh tumhaara seedhe mudde parr aana,
Woh gusse mein bhi yu muskaana..
Saala muh pe bol dena mann ki baat,
Karna shiddat se mehnat din aur raat..
Dil ko chhoone waale tumhaare kirdaar,
Kam dekhein hai humne aise dildaar..
Pehchaan nahi thi humaari, bass dekha tha parde parr chehra,
Pata hi nahi chala, kab bann gaya rishta tumse yeh gehra..
Yun toh duniya apni mauj mein chalti rahegi,
Parr teri kami iss nacheez ko hamesha khalti rahegi..
Bass ek hi shikwaa hai tumse,
Thodi der aur theher jaate, ek aur kahaani keh dete humse..
Iss shor sharaabay mein, tumhaari saadgi yaad aigi,
Tum hi ek the yaar, tumsa koi aur na hoga Irrfan bhai.