Tere pehle!
Tere pehle bhi koi thi,
Shayad tere baad bhi hogi..
Aaj teri hassi se muskuraa raha hu mai,
Kal shayad teri yaad hi hogi..
Parr iss sab ke bawajood, yeh aaj humaara hai..
Jo yeh lamhe guzaar rahe hai na hum,
Yeh humaare hai, humaare rahengay..
Yeh nakhre, yeh nok-jhok, yeh gussa, yeh pagalpann,
Yeh kisi ‘kal’ ke pairon tale nahi dabengay..
Jab saath jeene ka mauka saamne hai humaare,
Toh kyu inn fizool ki baaton pe waqt zaaya kare,
Chal iss aaj mein hum kuch kho jaaye,
Kuch ek dooje mein khud ko paaya kare..