Top

Agar

Agar

Meri khwaahishon aur mere beech yeh ‘agar’ ek lafz aata hai..
Jo kehta hai mujhse ki yeh sapna toot jaata hai..

Ke agar kal woh mera na raha,
Aankhon mein sapne kisi aur ke, aur saath mere woh soya..
Shayad mere gham ki wajeh se nahi..
Woh kisi aur ke gham mein roya..

Farz karo ki koi sankat ayega,
Kya yeh khushi kisi din chhin jayegi..
Hoga kya jab andhera hoga,
Kya jaane kismat kya rang layegi..

Yeh dost, yeh hassi, yeh pagalpann,
Kya sab bass ek lamhe mein udd jaayega?
Kya koi galti kar mai phir pachtaungi..
Ya pichli galtiyon ka saaya sadaa mandraayega?

Kaise sameyt lu mai meri yeh duniya,
Ki koi ‘agar’ isse jalne na de..
Pankh lagaake udna chahti hu,
Parr shayad kal koi chalne na de..

Kya hai na ki yeh shabd hi aisa hai,
Mann mein shanka aur darr ke jaisa hai..

Parr shabd bhi yeh do tarfa hai..
Kya ho agar kal aur rangeen ho?
Shayad kuch chhoot jaaye peeche..
Shayad jo kal mile woh aur haseen ho?

Toh kyu iss ek shabd ke bojh tale,
Mai apne aaj ko yu kho du?
Jab hai kareeb yeh log, yeh lamhe, jab saason mein aazadi hai aur aankhon mein hai pagal sapne..
Toh kyu mai iss ‘agar’ ke aage ro du?

Keh deti hu harr ek ‘agar’ se,
Ab jo bhi ho dekha jayega..
Kal humse hai, hum kal se nahi..
Woh humein kya darayega..

No Comments

Sorry, the comment form is closed at this time.